kisi ki tamanna kiye jaiye
kisī kī tamannā kiye jā.iye
isī aarzū meñ jiye jā.iye
zamāne ke jitne bhī ālām hoñ
dil-e-nā-tavāñ par liye jā.iye
agar hai yahī sheva-e-dostī
diye jā.iye ġham diye jā.iye
kisi ki tamanna kiye jaiye
isi aarzu mein jiye jaiye
zamane ke jitne bhi aalam hon
dil-e-na-tawan par liye jaiye
agar hai yahi shewa-e-dosti
diye jaiye gham diye jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.