Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki yaad mein shaMein jalana bhul jata hai

Suhail Sani

kisi ki yaad mein shaMein jalana bhul jata hai

Suhail Sani

MORE BYSuhail Sani

    kisī yaad meñ sham.eñ jalānā bhuul jaatā hai

    koī kitnā pyārā ho zamāna bhuul jaatā hai

    kisī din be-niyāzī us mujh ko maar Dālegī

    ḳhafā kartā hai vo lekin manānā bhuul jaatā hai

    ruḳh-e-raushan pe zulfoñ ye girnā jān-levā hai

    aur us par ye sitam dilbar haTānā bhuul jaatā hai

    agar hai bhūlnā mujh ko kisī se pyaar kar lenā

    nayā bantā hai jab rishta purānā bhuul jaatā hai

    isī baa.is maiñ siine se use uḌne nahīñ detā

    ye dil aisā parinda hai Thikānā bhuul jaatā hai

    hameñ hai vasl ḳhvāhish magar ye kaam duniyā ke

    maiñ jaanā bhuul jaatā huuñ vo aanā bhuul jaatā hai

    kisī se kyā karūñ shikva mile haiñ zaḳhm aise

    ki jin par vaqt bhī marham lagānā bhuul jaatā hai

    koī aaseb hai shāyad tumhāre shahr meñ 'sānī'

    yahāñ pe rahne vaalā muskurānā bhuul jaatā hai

    kisi ki yaad mein shamen jalana bhul jata hai

    koi kitna hi pyara ho zamana bhul jata hai

    kisi din be-niyazi us ki mujh ko mar Dalegi

    KHafa karta hai wo lekin manana bhul jata hai

    ruKH-e-raushan pe zulfon ka ye girna jaan-lewa hai

    aur us par ye sitam dilbar haTana bhul jata hai

    agar hai bhulna mujh ko kisi se pyar kar lena

    naya banta hai jab rishta purana bhul jata hai

    isi bais main sine se use uDne nahin deta

    ye dil aisa parinda hai Thikana bhul jata hai

    hamein hai wasl ki KHwahish magar ye kaam duniya ke

    main jaana bhul jata hun wo aana bhul jata hai

    kisi se kya karun shikwa mile hain zaKHm hi aise

    ki jin par waqt bhi marham lagana bhul jata hai

    koi aaseb hai shayad tumhaare shahr mein 'sani'

    yahan pe rahne wala muskurana bhul jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now