Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ko aks-kushi mein kamal ho na saka

Saqib Kanpuri

kisi ko aks-kushi mein kamal ho na saka

Saqib Kanpuri

MORE BYSaqib Kanpuri

    kisī ko aks-kushī meñ kamāl ho na sakā

    mah-e-do-hafta harīf-e-jamāl ho na sakā

    zabān-e-shauq se kyā harf-e-ārzū nikle

    ki jab nigāh se bhī arz-e-hāl ho na sakā

    tapāñ thā ḳhāk-e-mohabbat pe dil ik zarra

    magar vo dard zinda misāl ho na sakā

    kahāñ jamāl vus.at kahāñ dimāġh zarf

    vo jalva raunaq-e-bazm-e-ḳhayāl ho na sakā

    sa.ūd-e-najd ne qurbāniyāñ to liiñ 'sāqib'

    haram meñ bāda-e-rañgīñ halāl ho na sakā

    kisi ko aks-kushi mein kamal ho na saka

    mah-e-do-hafta harif-e-jamal ho na saka

    zaban-e-shauq se kya harf-e-arzu nikle

    ki jab nigah se bhi arz-e-haal ho na saka

    tapan tha KHak-e-mohabbat pe dil ka ek zarra

    magar wo dard ki zinda misal ho na saka

    kahan jamal ki wusat kahan dimagh ka zarf

    wo jalwa raunaq-e-bazm-e-KHayal ho na saka

    saud-e-najd ne qurbaniyan to lin 'saqib'

    haram mein baada-e-rangin halal ho na saka

    Source:

    (Pg. 140)

    • Author: Saqib Kanpuri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now