Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ko kya agar jaib-o-gareban par hansi aai

Natiq Azmi

kisi ko kya agar jaib-o-gareban par hansi aai

Natiq Azmi

MORE BYNatiq Azmi

    kisī ko kyā agar jaib-o-garebāñ par hañsī aa.ī

    ki mujh ko ḳhud mire hāl-e-pareshāñ par hañsī aa.ī

    kisī ke sheva-e-be-e'tinā.ī par lahū royā

    kisī pursish-e-hāl-e-pareshāñ par hañsī aa.ī

    milā manzil-ba-manzil kuchh na juz āġhāz-e-manzil ke

    ma.āl-e-justajū-e-umr-e-jaulāñ par hañsī aa.ī

    kabhī jab māvarā-e-ālam-e-imkāñ nazar pahūñchī

    bahut kotāh-dāmānī-e-imkāñ par hañsī aa.ī

    sharāb-e-zindagī āḳhirī ghūñT uf are tauba

    kahāñ nākāmī-e-tadbīr-e-insāñ par hañsī aa.ī

    haqīqat dīn-o-duniyā samajh meñ aa ga.ī jis dam

    na pūchho kitnī bahs-e-kufr-o-īmāñ par hañsī aa.ī

    havā itnī thī lekin chand sāñsoñ thā afsāna

    hayāt-o-maut ke rangīn unvāñ par hañsī aa.ī

    ulū-e-fikr ne har auj ko zer-e-nazar paayā

    nigāh-e-ġhaur kar har rāz-e-pinhāñ par hañsī aa.ī

    kisi ko kya agar jaib-o-gareban par hansi aai

    ki mujh ko KHud mere haal-e-pareshan par hansi aai

    kisi ke shewa-e-be-e'tinai par lahu roya

    kisi ki pursish-e-haal-e-pareshan par hansi aai

    mila manzil-ba-manzil kuchh na juz aaghaz-e-manzil ke

    maal-e-justaju-e-umr-e-jaulan par hansi aai

    kabhi jab mawara-e-alam-e-imkan nazar pahunchi

    bahut kotah-damani-e-imkan par hansi aai

    sharab-e-zindagi ka aaKHiri ghunT uf are tauba

    kahan nakaami-e-tadbir-e-insan par hansi aai

    haqiqat din-o-duniya ki samajh mein aa gai jis dam

    na puchho kitni bahs-e-kufr-o-iman par hansi aai

    hawa itni thi lekin chand sanson ka tha afsana

    hayat-o-maut ke rangin unwan par hansi aai

    ulu-e-fikr ne har auj ko zer-e-nazar paya

    nigah-e-ghaur kar har raaz-e-pinhan par hansi aai

    Source:

    Charagh-e-Dil (Pg. 80)

    • Author: Natiq Azmi
      • Publisher: Anjumn Pasban-e-Adab, Azamgarh
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now