Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi manzar ke pas-manzar mein ja kar

Zahid Shamsi

kisi manzar ke pas-manzar mein ja kar

Zahid Shamsi

MORE BYZahid Shamsi

    kisī manzar ke pas-manzar meñ kar

    chalo dekheñ kisī patthar meñ kar

    ghane jañgal ne mujh par raaz kholā

    nikal jaatā hai har Dar Dar meñ kar

    ḳhud apnī zaat ho jaatī hai ma.adūm

    ḳhud apnī zaat ke jauhar meñ kar

    mire dil tamannā ban gayā hai

    vo chehra merī chashm-e-tar meñ kar

    simaT jaate haiñ mere saath mujh meñ

    mire paañv mirī chādar meñ kar

    tahayyur-ḳhez thī us fasāhat

    vo jab bhī chup huā mimbar meñ kar

    ye zinda shahr hai to kaise 'zāhid'

    maiñ mar jaatā huuñ apne ghar meñ kar

    kisi manzar ke pas-manzar mein ja kar

    chalo dekhen kisi patthar mein ja kar

    ghane jangal ne mujh par raaz khola

    nikal jata hai har Dar Dar mein ja kar

    KHud apni zat ho jati hai madum

    KHud apni zat ke jauhar mein ja kar

    mere dil ki tamanna ban gaya hai

    wo chehra meri chashm-e-tar mein ja kar

    simaT jate hain mere sath mujh mein

    mere panw meri chadar mein ja kar

    tahayyur-KHez thi us ki fasahat

    wo jab bhi chup hua mimbar mein ja kar

    ye zinda shahr hai to kaise 'zahid'

    main mar jata hun apne ghar mein ja kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now