Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi mast-e-KHwab ka hai abas intizar so ja

Suroor Jahanabadi

kisi mast-e-KHwab ka hai abas intizar so ja

Suroor Jahanabadi

MORE BYSuroor Jahanabadi

    kisī mast-e-ḳhvāb hai abas intizār so

    ki guzar ga.ī shab aadhī dil-e-be-qarār so

    ye nasīm ThanDī ThanDī ye havā ke sard jhoñke

    tujhe de rahe haiñ lorī mire ġham-gusār so

    ye tirī sadā-e-nāla mujhe muttahim na kar de

    mire parda-dār so mire rāz-dār so

    mujhe ḳhuuñ rulā rahā hai tirā dam-ba-dam taḌapnā

    tire ġham meñ aah kab se maiñ huuñ ashk-bār so

    abhī dhān-pān hai to nahīñ āshiqī ke qābil

    ye tapish aah sheva na kar iḳhtiyār so

    na taḌap zamīñ pe zālim tujhe god meñ uThā luuñ

    tujhe siine se lagā luuñ tujhe kar luuñ pyaar so

    tujhe jin hai tasavvur are mast-e-jām-e-ulfat

    unhīñ añkhḌiyoñ ke sadqe mire bāda-ḳhvār so

    tujhe pahlā sābiqa hai shab-e-ġham burī balā hai

    kahīñ mar-miTe na zālim dil-e-be-qarār so

    kisi mast-e-KHwab ka hai abas intizar so ja

    ki guzar gai shab aadhi dil-e-be-qarar so ja

    ye nasim ThanDi ThanDi ye hawa ke sard jhonke

    tujhe de rahe hain lori mere gham-gusar so ja

    ye teri sada-e-nala mujhe muttahim na kar de

    mere parda-dar so ja mere raaz-dar so ja

    mujhe KHun rula raha hai tera dam-ba-dam taDapna

    tere gham mein aah kab se main hun ashk-bar so ja

    abhi dhan-pan hai to nahin aashiqi ke qabil

    ye tapish ka aah shewa na kar iKHtiyar so ja

    na taDap zamin pe zalim tujhe god mein uTha lun

    tujhe sine se laga lun tujhe kar lun pyar so ja

    tujhe jin ka hai tasawwur are mast-e-jam-e-ulfat

    unhin ankhDiyon ke sadqe mere baada-KHwar so ja

    tujhe pahla sabiqa hai shab-e-gham buri bala hai

    kahin mar-miTe na zalim dil-e-be-qarar so ja

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 84)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now