Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi nazar mein samaun wo walwala bhi de

Waseem Farhat Alig

kisi nazar mein samaun wo walwala bhi de

Waseem Farhat Alig

MORE BYWaseem Farhat Alig

    kisī nazar meñ samā.ūñ vo valvala bhī de

    nikhār baḳhshā hai ne to ā.īna bhī de

    tamām lafz ḳhāmosh maslahat ke shikār

    zabān hai to kahne hausla bhī de

    gumān-o-vaham ke mābain thak ke baiTh gayā

    kahāñ talāsh karūñ kuchh atā-patā bhī de

    nafas nafas aziyyat se baat kyā bantī

    mire aziiz mujhe zaḳhm-e-jāñ-fazā bhī de

    charāġh aise añdheroñ meñ saath deñ kab tak

    safar shart agar hai to rāsta bhī de

    mirā ḳhulūs tire makr-o-fan se haar gayā

    kahāñ azāb-e-mukarrar mujhe haTā bhī de

    kisi nazar mein samaun wo walwala bhi de

    nikhaar baKHsha hai tu ne to aaina bhi de

    tamam lafz hi KHamosh maslahat ke shikar

    zaban di hai to kahne ka hausla bhi de

    guman-o-waham ke mabain thak ke baiTh gaya

    kahan talash karun kuchh ata-pata bhi de

    nafas nafas ki aziyyat se baat kya banti

    mere aziz mujhe zaKHm-e-jaan-faza bhi de

    charagh aise andheron mein sath den kab tak

    safar hi shart agar hai to rasta bhi de

    mera KHulus tere makr-o-fan se haar gaya

    kahan azab-e-mukarrar mujhe haTa bhi de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now