Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi qatil se na talwar se Dar lagta hai

Hamdam Kashmiri

kisi qatil se na talwar se Dar lagta hai

Hamdam Kashmiri

MORE BYHamdam Kashmiri

    kisī qātil se na talvār se Dar lagtā hai

    aaj kyā baat hai darbār se Dar lagtā hai

    ḳhud ko oḌhe hue baiThā huuñ kisī goshe meñ

    har taraf shorish-e-bisyār se Dar lagtā hai

    sochtā huuñ ki kahāñ Tek lagā kar baiThūñ

    mujh ko ḳhud apnī dīvār se Dar lagtā hai

    TuuT jaa.e na kisī aan tasalsul us

    kyuuñ mujhe saañs takrār se Dar lagtā hai

    maiñ ne qātil adā rol kiyā hai 'hamdam'

    kyuuñ mujhe apne kirdār se Dar lagtā hai

    kisi qatil se na talwar se Dar lagta hai

    aaj kya baat hai darbar se Dar lagta hai

    KHud ko oDhe hue baiTha hun kisi goshe mein

    har taraf shorish-e-bisyar se Dar lagta hai

    sochta hun ki kahan Tek laga kar baiThun

    mujh ko KHud apni hi diwar se Dar lagta hai

    TuT jae na kisi aan tasalsul us ka

    kyun mujhe sans ki takrar se Dar lagta hai

    main ne qatil ka ada rol kiya hai 'hamdam'

    kyun mujhe apne hi kirdar se Dar lagta hai

    Source:

    Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 57)

    • Author: Hamdam Kashmiri
      • Edition: 2012
      • Publisher: Sayed Ameen Ashraf
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now