kisi qimat adab se main dagha-bazi nahin karta
kisī qīmat adab se maiñ daġhā-bāzī nahīñ kartā
zamīn-e-shā'irī meñ sirf laffāzī nahīñ kartā
jo 'ālim haiñ na jaa.eñ ġhair-islāmī nikāhoñ meñ
kuchh aisā faisla hargiz koī qaazī nahīñ kartā
jo 'arz-e-hāl hai us haal se vāqif zamāna hai
isī ḳhātir bayāñ maiñ qissa-e-māzī nahīñ kartā
tamanna chhoḌ de vo rāhat-e-duniyā-o-uqbā kī
ḳhudā-e-pāk ko jo shaḳhs bhī raazī nahīñ kartā
samajh letā huuñ ai 'sajjād' pahle haqq-o-bātil ko
añdhere meñ kabhī maiñ tīr-andāzī nahīñ kartā
kisi qimat adab se main dagha-bazi nahin karta
zamin-e-sha'iri mein sirf laffazi nahin karta
jo 'alim hain na jaen ghair-islami nikahon mein
kuchh aisa faisla hargiz koi qazi nahin karta
jo 'arz-e-haal hai us haal se waqif zamana hai
isi KHatir bayan main qissa-e-mazi nahin karta
tamanna chhoD de wo rahat-e-duniya-o-uqba ki
KHuda-e-pak ko jo shaKHs bhi raazi nahin karta
samajh leta hun ai 'sajjad' pahle haqq-o-baatil ko
andhere mein kabhi main tir-andazi nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.