kisi sabab na kisi justuju se sikha hai
kisī sabab na kisī justujū se sīkhā hai
hunar ye maiñ ne usī tund-ḳhū se sīkhā hai
hameñ kab aate the ādāb baat karne ke
mukālima to tirī guftugū se sīkhā hai
vazāhateñ nahīñ hotīñ koī tahārat kī
vuzū bhī maiñ ne kisī be-vuzū se sīkhā hai
tamām ḳhūbiyāñ haiñ aa.ine ke hī dam se
dikhā.ī denā ḳhat-e-rū-barū se sīkhā hai
shikast de ke usī ko gale lagā lenā
sabaq ye maiñ ne kisī surḳh-rū se sīkhā hai
kisi sabab na kisi justuju se sikha hai
hunar ye main ne usi tund-KHu se sikha hai
hamein kab aate the aadab baat karne ke
mukalima to teri guftugu se sikha hai
wazahaten nahin hotin koi tahaarat ki
wuzu bhi main ne kisi be-wuzu se sikha hai
tamam KHubiyan hain aaine ke hi dam se
dikhai dena KHat-e-ru-baru se sikha hai
shikast de ke usi ko gale laga lena
sabaq ye main ne kisi surKH-ru se sikha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.