kisi se apni KHabar hum wasul kya karte
kisī se apnī ḳhabar ham vasūl kyā karte
ḳhud ā.īnoñ kā bhī ehsāñ qubūl kyā karte
vo khet khet rahīñ jin kī ḳhār-dār safeñ
unhī meñ phuul the do chaar phuul kyā karte
tamām jānoñ ke dushman tamām haath hue
ye ummateñ thiiñ ab un ke rasūl kyā karte
ye koī umr thī terī mohabbatoñ vaalī
saroñ kī raakh meñ shāmil ye dhuul kyā karte
tumhāre jaisā koī naqsh har nigār meñ thā
magar the ham bhī bahut bā-usūl kyā karte
unheñ ki jin se baḌī choT kar ga.ī thī hayāt
ab aur pursish-e-ġham se malūl kyā karte
jahāñ thā toḌnā dastūr kā bhī ik dastūr
vahāñ hamāre tumhāre usuul kyā karte
ham aise log jo ḳhvāboñ ke chalne vaale the
sahar se ajr-e-masāfat vasūl kyā karte
kisi se apni KHabar hum wasul kya karte
KHud aainon ka bhi ehsan qubul kya karte
wo khet khet rahin jin ki KHar-dar safen
unhi mein phul the do chaar phul kya karte
tamam jaanon ke dushman tamam hath hue
ye ummaten thin ab un ke rasul kya karte
ye koi umr thi teri mohabbaton wali
saron ki rakh mein shamil ye dhul kya karte
tumhaare jaisa koi naqsh har nigar mein tha
magar the hum bhi bahut ba-usul kya karte
unhen ki jin se baDi choT kar gai thi hayat
ab aur pursish-e-gham se malul kya karte
jahan tha toDna dastur ka bhi ek dastur
wahan hamare tumhaare usul kya karte
hum aise log jo KHwabon ke chalne wale the
sahar se ajr-e-masafat wasul kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.