Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi se bhi nahin hum sabr ki talqin lete hain

Faizul Amin Faiz

kisi se bhi nahin hum sabr ki talqin lete hain

Faizul Amin Faiz

MORE BYFaizul Amin Faiz

    kisī se bhī nahīñ ham sabr talqīn lete haiñ

    hameñ miltī nahīñ jo chiiz us ko chhīn lete haiñ

    buḌhāpā aa gayā lekin nahīñ badlā mizāj un

    abhī tak kapḌe vo apne liye rañgīn lete haiñ

    faqīroñ ko kabhī dar se na ḳhālī lauTne denā

    duā.eñ dete haiñ ḳhairāt jab miskīn lete haiñ

    vo saare log ranj-o-ġham se jaate haiñ āzādī

    jo sub.h-o-shām vird-e-sūra-e-yāsīn lete haiñ

    tumheñ hairat hai kyoñ ahal-e-filistīñ shujā.at par

    yazīdoñ se sadā lohā to ahl-e-dīn lete haiñ

    kisi se bhi nahin hum sabr ki talqin lete hain

    hamein milti nahin jo chiz us ko chhin lete hain

    buDhapa aa gaya lekin nahin badla mizaj un ka

    abhi tak kapDe wo apne liye rangin lete hain

    faqiron ko kabhi dar se na KHali lauTne dena

    duaen dete hain KHairaat jab miskin lete hain

    wo sare log ranj-o-gham se pa jate hain aazadi

    jo subh-o-sham wird-e-sura-e-yasin lete hain

    tumhein hairat hai kyon ahal-e-filistin ki shujaat par

    yazidon se sada loha to ahl-e-din lete hain

    Source:

    Handwriting File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now