kisi se fikr kisi se nazar mile na mile
kisī se fikr kisī se nazar mile na mile
safar hai shart koī ham-safar mile na mile
sukūñ se kaaT leñ kuchh aur bhī bahār ke din
phir is ke baad qafas mo'atabar mile na mile
ḳhud apne saa.e meñ kuchh der baiTh kar dam leñ
hamārī raah meñ koī shajar mile na mile
ḳhushī kā lamha koī rā.egāñ na jaane do
ye nā-murād kabhī vaqt par mile na mile
chalo ki manzileñ ham ko pukārtī haiñ 'vaqār'
na intizār karo rāhbar mile na mile
kisi se fikr kisi se nazar mile na mile
safar hai shart koi ham-safar mile na mile
sukun se kaT len kuchh aur bhi bahaar ke din
phir is ke baad qafas mo'atabar mile na mile
KHud apne sae mein kuchh der baiTh kar dam len
hamari rah mein koi shajar mile na mile
KHushi ka lamha koi raegan na jaane do
ye na-murad kabhi waqt par mile na mile
chalo ki manzilen hum ko pukarti hain 'waqar'
na intizar karo rahbar mile na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.