Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi se kaise kahe koi tajraba dil ka

Pasha Rahman

kisi se kaise kahe koi tajraba dil ka

Pasha Rahman

MORE BYPasha Rahman

    kisī se kaise kahe koī tajraba dil

    ajiib sāneha hotā hai sāneha dil

    kahīñ na phūñk deñ sho.ala-badan matā-e-sukūñ

    chalā hai shahr-e-nigārāñ ko qāfila dil

    mah-o-nujūm mirī gard-e-rāh na sake

    mah-o-nujūm se aage thā hausla dil

    asīr-e-kākul-e-lāla-ruḳhāñ vo kyā hotā

    salīb-o-dār-o-rasan se thā rābta dil

    vo merī arz-e-tamannā pe tālib-e-jāñ hai

    hai ik ajiib sitamgar se vāsta dil

    ye nukta junūñ samajh sake pāshā

    bahut tavīl ḳhirad se hai fāsla dil

    kisi se kaise kahe koi tajraba dil ka

    ajib saneha hota hai saneha dil ka

    kahin na phunk den shoala-badan mata-e-sukun

    chala hai shahr-e-nigaran ko qafila dil ka

    mah-o-nujum meri gard-e-rah pa na sake

    mah-o-nujum se aage tha hausla dil ka

    asir-e-kakul-e-lala-ruKHan wo kya hota

    salib-o-dar-o-rasan se tha rabta dil ka

    wo meri arz-e-tamanna pe talib-e-jaan hai

    hai ek ajib sitamgar se wasta dil ka

    ye nukta junun hi samajh sake pasha

    bahut tawil KHirad se hai fasla dil ka

    Source:

    Nishat-e-Karb (Pg. 27)

    • Author: Pasha Rahman
      • Publisher: Urdu academy Sindh, Karachi
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now