Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi se KHush hai kisi se KHafa KHafa sa hai

Nida Fazli

kisi se KHush hai kisi se KHafa KHafa sa hai

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    kisī se ḳhush hai kisī se ḳhafā ḳhafā hai

    vo shahr meñ abhī shāyad nayā nayā hai

    na jaane kitne badan vo pahan ke leTā hai

    bahut qarīb hai phir bhī chhupā chhupā hai

    sulagtā shahr nadī ḳhuun kab bāteñ haiñ

    kahīñ kahīñ se ye qissa sunā sunā hai

    saroñ ke siiñg to jañgal den hote haiñ

    vo aadmī to hai lekin Darā Darā hai

    kuchh aur dhuup to ho os suukh jaane tak

    vo peḌ ab ke baras bhī harā harā hai

    kisi se KHush hai kisi se KHafa KHafa sa hai

    wo shahr mein abhi shayad naya naya sa hai

    na jaane kitne badan wo pahan ke leTa hai

    bahut qarib hai phir bhi chhupa chhupa sa hai

    sulagta shahr nadi KHun kab ki baaten hain

    kahin kahin se ye qissa suna suna sa hai

    saron ke sing to jangal ki den hote hain

    wo aadmi to hai lekin Dara Dara sa hai

    kuchh aur dhup to ho os sukh jaane tak

    wo peD ab ke baras bhi hara hara sa hai

    Source:

    Sheher Men Gaon (Pg. 200)

    • Author: Shahid Mahili
      • Edition: 2012
      • Publisher: Miaar Publications
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now