Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi se rabt nahin hai kisi se pyar mujhe

Jigar Jalandhari

kisi se rabt nahin hai kisi se pyar mujhe

Jigar Jalandhari

MORE BYJigar Jalandhari

    kisī se rabt nahīñ hai kisī se pyaar mujhe

    na jaane rahtā hai phir kis intizār mujhe

    har ek saañs mirī umr ko ghaTātī hai

    nafas taar hai goyā kafan taar mujhe

    mirī bahār ko mausam intizār nahīñ

    koī jo hañs ke milā mil ga.ī bahār mujhe

    na be-qarār ho merī be-qarārī par

    taḌap taḌap ke ḳhud aa jā.egā qarār mujhe

    ye dil aa.ina ab toḌne ke qābil hai

    dikhā.ī detā nahīñ us meñ rū-e-yār mujhe

    kisī ke husn maiñ ne bahār dekhī hai

    chaman ke phuul dikhāte haiñ kyā bahār mujhe

    ye ḳhud-farebī hai merī ki ḳhud-farāmoshī

    na aane vaale rahtā hai intizār mujhe

    mire vajūd se harakat to hai zamāne meñ

    agarche mauj sūrat nahīñ qarār mujhe

    mire chaman se vābastagī hai donoñ

    aziiz kyuuñ na hoñ phūloñ ke saath ḳhaar mujhe

    'jigar' ke ḳhuun se āñkhoñ meñ surḳh Dore haiñ

    samajh rahā hai zamāna sharāb-ḳhvār mujhe

    kisi se rabt nahin hai kisi se pyar mujhe

    na jaane rahta hai phir kis ka intizar mujhe

    har ek sans meri umr ko ghaTati hai

    nafas ka tar hai goya kafan ka tar mujhe

    meri bahaar ko mausam ka intizar nahin

    koi jo hans ke mila mil gai bahaar mujhe

    na be-qarar ho tu meri be-qarari par

    taDap taDap ke KHud aa jaega qarar mujhe

    ye dil ka aaina ab toDne ke qabil hai

    dikhai deta nahin us mein ru-e-yar mujhe

    kisi ke husn ki main ne bahaar dekhi hai

    chaman ke phul dikhate hain kya bahaar mujhe

    ye KHud-farebi hai meri ki KHud-faramoshi

    na aane wale ka rahta hai intizar mujhe

    mere wajud se harakat to hai zamane mein

    agarche mauj ki surat nahin qarar mujhe

    mere chaman hi se wabastagi hai donon ki

    aziz kyun na hon phulon ke sath KHar mujhe

    'jigar' ke KHun se aankhon mein surKH Dore hain

    samajh raha hai zamana sharab-KHwar mujhe

    Source:

    Khoon-e-Jigar (Pg. 39)

    • Author: Jigar Jalandhari
      • Edition: 1984
      • Publisher: Deepak Publishers, Jalandhar
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now