Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi se unki jafaon ka tazkira na karo

Nayyar Damohi

kisi se unki jafaon ka tazkira na karo

Nayyar Damohi

MORE BYNayyar Damohi

    kisī se un jafāoñ tazkira na karo

    hazār zulm vo Dhā.eñ magar gila na karo

    har ek lamha guzartā hai ik sadī jaisā

    ta.alluqāt baḌhā kar judā rahā na karo

    mirī hayāt ko nisbat bas ik tumhīñ se hai

    tum apne saath rakkho mujhe judā na karo

    tabāhī tum ne to ḳhud mol hai ahl-e-chaman

    kisī se apnī tabāhī ab gila na karo

    vo sab ke dil talab se haiñ bā-ḳhabar 'nayyar'

    tum un bazm meñ iz.hār-e-mudda.ā na karo

    kisi se un ki jafaon ka tazkira na karo

    hazar zulm wo Dhaen magar gila na karo

    har ek lamha guzarta hai ek sadi jaisa

    talluqat baDha kar juda raha na karo

    meri hayat ko nisbat bas ek tumhin se hai

    tum apne sath hi rakkho mujhe juda na karo

    tabahi tum ne to KHud mol li hai ahl-e-chaman

    kisi se apni tabahi ka ab gila na karo

    wo sab ke dil ki talab se hain ba-KHabar 'nayyar'

    tum un ki bazm mein izhaar-e-muddaa na karo

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now