Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi suragh se kamre mein nur utrega

Pawan Kumar

kisi suragh se kamre mein nur utrega

Pawan Kumar

MORE BYPawan Kumar

    kisī surāġh se kamre meñ nuur utregā

    zarūr añdheroñ ik din ġhurūr utregā

    ḳhafā hai mujh se to us ko ḳhafā rahne do

    milūñgā us se to ġhussa zarūr utregā

    patā chalegā tabhī kyā gañvā diyā tum ne

    tumhāre sar se jab us fitūr utregā

    bas intizār meñ rah jā.egī vo shahzādī

    uḌan-khaTolā kahīñ ke duur utregā

    chamak uThegā ye paanī bhī chāñdnī tarah

    ye chāñd dariyā meñ jab chūr-chūr utregā

    kiye pe apne pachhtā.egā ba-har-sūrat

    kharā kasauTī pe jab be-qusūr utregā

    kisi suragh se kamre mein nur utrega

    zarur andheron ka ek din ghurur utrega

    KHafa hai mujh se to us ko KHafa hi rahne do

    milunga us se to ghussa zarur utrega

    pata chalega tabhi kya ganwa diya tum ne

    tumhaare sar se jab us ka fitur utrega

    bas intizar mein rah jaegi wo shahzadi

    uDan-khaTola kahin ja ke dur utrega

    chamak uThega ye pani bhi chandni ki tarah

    ye chand dariya mein jab chur-chur utrega

    kiye pe apne tu pachhtaega ba-har-surat

    khara kasauTi pe jab be-qusur utrega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now