Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti

Farogh Hyderabadi

kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti

Farogh Hyderabadi

MORE BYFarogh Hyderabadi

    kisī sūrat adū tark-e-ulfat ho nahīñ saktī

    hamāre haal par terī ināyat ho nahīñ saktī

    kabhī tere sivā dil dūsre par aa nahīñ saktā

    kisī par ab mirī maa.il tabī.at ho nahīñ saktī

    banī hai mohr-e-lab paiham mohabbat us sitamgar

    bayāñ ab dāstān-e-dard-e-furqat ho nahīñ saktī

    ilāhī merā dil us sañg-dil dil to ban jaa.e

    mirī taqdīr gar dushman qismat ho nahīñ saktī

    ye ho saktā hai duniyā bhar ko chhoḌūñ terī ḳhātir se

    raqīb-e-rū-siyah mujh se minnat ho nahīñ saktī

    tasavvur meñ bhī tum bār-e-nazākat se nahīñ aate

    tumhāre vasl ab koī sūrat ho nahīñ saktī

    ḳhudā shaan hai ishq-e-adū meñ rote phirte haiñ

    jo kahte the kabhī tāsīr-e-ulfat ho nahīñ saktī

    ghulāyā zo.af ne aisā firāq-e-yār meñ mujh ko

    tasavvur meñ bhī qaa.em merī sūrat ho nahīñ saktī

    hijāb aatā hai tujh ko dushman-e-mehr-o-vafā kahte

    kisī parde meñ ab terī shikāyat ho nahīñ saktī

    'faroġh'-e-nayyar-e-taqdīr zau-baḳhsh-e-tamannā hai

    shab-e-vasl-e-sitamgar shām-e-furqat ho nahīñ saktī

    kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti

    hamare haal par teri inayat ho nahin sakti

    kabhi tere siwa dil dusre par aa nahin sakta

    kisi par ab meri mail tabiat ho nahin sakti

    bani hai mohr-e-lab paiham mohabbat us sitamgar ki

    bayan ab dastan-e-dard-e-furqat ho nahin sakti

    ilahi mera dil us sang-dil ka dil to ban jae

    meri taqdir gar dushman ki qismat ho nahin sakti

    ye ho sakta hai duniya bhar ko chhoDun teri KHatir se

    raqib-e-ru-siyah ki mujh se minnat ho nahin sakti

    tasawwur mein bhi tum bar-e-nazakat se nahin aate

    tumhaare wasl ki ab koi surat ho nahin sakti

    KHuda ki shan hai ishq-e-adu mein rote phirte hain

    jo kahte the kabhi tasir-e-ulfat ho nahin sakti

    ghulaya zoaf ne aisa firaq-e-yar mein mujh ko

    tasawwur mein bhi qaem meri surat ho nahin sakti

    hijab aata hai tujh ko dushman-e-mehr-o-wafa kahte

    kisi parde mein ab teri shikayat ho nahin sakti

    'farogh'-e-nayyar-e-taqdir zau-baKHsh-e-tamanna hai

    shab-e-wasl-e-sitamgar sham-e-furqat ho nahin sakti

    Source:

    Kalam-e-Frogh (Pg. 33)

      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now