Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi surat kami hoti nahin soz-e-nihani mein

Maikash Lucknowi

kisi surat kami hoti nahin soz-e-nihani mein

Maikash Lucknowi

MORE BYMaikash Lucknowi

    kisī sūrat kamī hotī nahīñ soz-e-nihānī meñ

    mirī duniyā bahī jaatī hai ashkoñ ravānī meñ

    navā-sanj-e-fuġhāñ ai bāġhbāñ ye bulbuleñ kyoñ haiñ

    bahār aa.ī hai kaisī tere daur-e-bāġhbānī meñ

    ḳhirad vaalo idhar aao yahāñ baiTho mujhe dekho

    ki kaisā mutma.in huuñ maiñ junūñ hukmrānī meñ

    mirā ḳhūn-e-tamannā ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-vafā le kar

    jo rang-āmeziyāñ chāho karo apnī kahānī meñ

    tapish se dil lau dene lage aañsū sar-e-mizhgāñ

    tamāshā dekh lo aakar lagī hai aag paanī meñ

    abhī kuchh phīkī phīkī hai rūdād-e-ġham-e-jānāñ

    vo sun leñge to jaan aa jā.egī puurī kahānī meñ

    kahāñ husn kaisā ishq itnā yaad hai mujh ko

    ki ik uljhā huā ḳhvāb dekhā thā javānī meñ

    na jaane kyoñ mujhe vo apnā dīvāna samajh baiThe

    jab un naam tak aayā na thā merī kahānī meñ

    kisi surat kami hoti nahin soz-e-nihani mein

    meri duniya bahi jati hai ashkon ki rawani mein

    nawa-sanj-e-fughan ai baghban ye bulbulen kyon hain

    bahaar aai hai kaisi tere daur-e-baghbani mein

    KHirad walo idhar aao yahan baiTho mujhe dekho

    ki kaisa mutmain hun main junun ki hukmrani mein

    mera KHun-e-tamanna KHun-e-dil KHun-e-wafa le kar

    jo rang-ameziyan chaho karo apni kahani mein

    tapish se dil ki lau dene lage aansu sar-e-mizhgan

    tamasha dekh lo aakar lagi hai aag pani mein

    abhi kuchh phiki phiki si hai rudad-e-gham-e-jaanan

    wo sun lenge to jaan aa jaegi puri kahani mein

    kahan ka husn kaisa ishq itna yaad hai mujh ko

    ki ek uljha hua sa KHwab dekha tha jawani mein

    na jaane kyon mujhe wo apna diwana samajh baiThe

    jab un ka nam tak aaya na tha meri kahani mein

    Source:

    (Pg. 27)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now