kisi surat muqaddar se pareshani nahin jati
kisÄ« sÅ«rat muqaddar se pareshÄnÄ« nahīƱ jaatÄ«
haqīqat vo haqīqat hai ki jo jaanī nahīƱ jaatī
adÅ« kÄ« laÄ”hv-goÄ« ne kuchh aisÄ kar diyÄ barham
hamÄrÄ« sÄf-sÄ«dhÄ« baat bhÄ« maanÄ« nahīƱ jaatÄ«
hamÄrÄ rÄz-e-dil hÄ« kyÄ vo tum par ÄshkÄra hai
haqīqat aap ke dil kī magar jaanī nahīƱ jaatī
sar-e-maqtal taįøaptÄ dekh kar vo tilmilÄ uTThe
sitam ke baad ab un kÄ« pashemÄnÄ« nahīƱ jaatÄ«
kisÄ« Äshiq ke dil se pÅ«chhiye sar-garmÄ«-e-ulfat
hazÄroƱ mushkileƱ hoƱ phir bhÄ« jaulÄnÄ« nahīƱ jaatÄ«
junÅ«n-e-ishq-e-kÄmil meƱ ye parvÄne kÄ« aadat hai
subÅ«t-e-ishq-e-kÄmil kÄ« vo qurbÄnÄ« nahīƱ jaatÄ«
jo sūrat koī bahr-e-ishq meñ aa.ī nazar ham ko
kuchh aisÄ« masįø³h ho jaatÄ« hai pahchÄnÄ« nahīƱ jaatÄ«
hamÄrÄ« quvvat-e-bardÄsht kÄ« parvÄh kyÄ un ko
sitam karne kÄ« aadat hai sitam-rÄnÄ« nahīƱ jaatÄ«
are 'Ä”ham' mushkileƱ to ishq kÄ« rÄhoƱ meƱ haiƱ lekin
hai in meƱ kaun kitnÄ« saįø³ht gardÄnÄ« nahīƱ jaatÄ«
kisi surat muqaddar se pareshani nahin jati
haqiqat wo haqiqat hai ki jo jaani nahin jati
adu ki laghw-goi ne kuchh aisa kar diya barham
hamari saf-sidhi baat bhi mani nahin jati
hamara raaz-e-dil hi kya wo tum par aashkara hai
haqiqat aap ke dil ki magar jaani nahin jati
sar-e-maqtal taDapta dekh kar wo tilmila uTThe
sitam ke baad ab un ki pashemani nahin jati
kisi aashiq ke dil se puchhiye sar-garmi-e-ulfat
hazaron mushkilen hon phir bhi jaulani nahin jati
junun-e-ishq-e-kaamil mein ye parwane ki aadat hai
subut-e-ishq-e-kaamil ki wo qurbani nahin jati
jo surat koi bahr-e-ishq mein aai nazar hum ko
kuchh aisi masKH ho jati hai pahchani nahin jati
hamari quwwat-e-bardasht ki parwah kya un ko
sitam karne ki aadat hai sitam-rani nahin jati
are 'gham' mushkilen to ishq ki rahon mein hain lekin
hai in mein kaun kitni saKHt gardani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.