aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke

Abdul Wahab Sukhan

kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    kisī talab meñ huā maiñ na dar-ba-dar ab ke

    rahā nigāh mehvar bas apnā ghar ab ke

    na jaane kitne raste the muntazir lekin

    simaT ke rah gayā qadmoñ meñ safar ab ke

    ye intizār shiddat na thī kabhī pahle

    muhīt lagtā hai sadiyoñ pe lamha bhar ab ke

    bahār-e-lāla-o-gul ke qasīde ḳhatm hue

    ḳhizāñ marsiya paḌhtā hai har shajar ab ke

    ye kaisā nasha musallat thā ab ke zehnoñ par

    tabāhiyoñ se rahe sab be-ḳhabar ab ke

    samar parvā kiye bin ham ne boyā hai

    zamīn-e-ḳhvāb pe ummīd shajar ab ke

    ajiib mausam-e-karb-o-balā hai gulshan meñ

    rakhā hai ġhunchoñ ne kāñToñ pe apnā sar ab ke

    ghuTan meñ vaqt bārūd ban gayā huuñ 'suḳhan'

    na phūñk de mujhe aa kar koī sharar ab ke

    kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke

    raha nigah ka mehwar bas apna ghar ab ke

    na jaane kitne hi raste the muntazir lekin

    simaT ke rah gaya qadmon mein hi safar ab ke

    ye intizar ki shiddat na thi kabhi pahle

    muhit lagta hai sadiyon pe lamha bhar ab ke

    bahaar-e-lala-o-gul ke qaside KHatm hue

    KHizan ka marsiya paDhta hai har shajar ab ke

    ye kaisa nasha musallat tha ab ke zehnon par

    tabahiyon se rahe sab hi be-KHabar ab ke

    samar ki parwa kiye bin hi hum ne boya hai

    zamin-e-KHwab pe ummid ka shajar ab ke

    ajib mausam-e-karb-o-bala hai gulshan mein

    rakha hai ghunchon ne kanTon pe apna sar ab ke

    ghuTan mein waqt ki barud ban gaya hun 'suKHan'

    na phunk de mujhe aa kar koi sharar ab ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now