Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi tarah KHalish-e-arzu miTa na sake

Shariq Merthi

kisi tarah KHalish-e-arzu miTa na sake

Shariq Merthi

MORE BYShariq Merthi

    kisī tarah ḳhalish-e-ārzū miTā na sake

    tire qarīb bhī aa kar sukūn na sake

    chaman meñ dekhe koī us kalī mahrūmī

    jo muskurā.e to bhar ke muskurā na sake

    usī sajda usī niyāz usī namāz

    jo us ke dar pe jhukā kar jabīñ uThā na sake

    jahān-e-ishq meñ hai inqalāb zāmin

    vo ek aah jo dil se laboñ tak aa na sake

    na pūchh us ke muqaddar nā-rasā.ī ko

    jo aap gum ho magar phir bhī tujh ko na sake

    ye raaz vo hai jo hoñToñ tak aa nahīñ saktā

    kahāñ jhukā.ī jabīñ aur kahāñ jhukā na sake

    kisī ke ġham rahā paas is qadar 'shāriq'

    ki bhuul kar bhī mohabbat meñ muskurā na sake

    kisi tarah KHalish-e-arzu miTa na sake

    tere qarib bhi aa kar sukun pa na sake

    chaman mein dekhe koi us kali ki mahrumi

    jo muskurae to ji bhar ke muskura na sake

    usi ka sajda usi ka niyaz usi ki namaz

    jo us ke dar pe jhuka kar jabin uTha na sake

    jahan-e-ishq mein hai inqalab ki zamin

    wo ek aah jo dil se labon tak aa na sake

    na puchh us ke muqaddar ki na-rasai ko

    jo aap gum ho magar phir bhi tujh ko pa na sake

    ye raaz wo hai jo honTon tak aa nahin sakta

    kahan jhukai jabin aur kahan jhuka na sake

    kisi ke gham ka raha pas is qadar 'shaariq'

    ki bhul kar bhi mohabbat mein muskura na sake

    Source:

    Bada-o-Jaam (Pg. 34)

    • Author: Shariq Merthi
      • Publisher: Shiv Printing Press, Meerut
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now