Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi tarah ki ibaadat rawa nahin rakhunga

Abhishek Shukla

kisi tarah ki ibaadat rawa nahin rakhunga

Abhishek Shukla

MORE BYAbhishek Shukla

    kisī tarah ibādat ravā nahīñ rakhūñgā

    sanam rakhūñgā maiñ dil meñ ḳhudā nahīñ rakhūñgā

    tamām-umr guzārūñgā ābiyārī meñ

    kuchh is tarah ki maiñ ḳhud ko harā nahīñ rakhūñgā

    jo aane vaale hoñ pahle se ittilā.a kareñ

    ki umr-bhar to maiñ ḳhud ko khulā nahīñ rakhūñgā

    maiñ jam ke so.ūñgā ā.uñgā ḳhvāb meñ milne

    firāq meñ bhī kabhī rat-jagā nahīñ rakhūñgā

    kisi tarah ki ibaadat rawa nahin rakhunga

    sanam rakhunga main dil mein KHuda nahin rakhunga

    tamam-umr guzarunga aabiyari mein

    kuchh is tarah ki main KHud ko hara nahin rakhunga

    jo aane wale hon pahle se ittilaa karen

    ki umr-bhar to main KHud ko khula nahin rakhunga

    main jam ke sounga aaunga KHwab mein milne

    firaq mein bhi kabhi rat-jaga nahin rakhunga

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abhishek Shukla

    Abhishek Shukla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now