Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitab-e-ishq ki sharh-e-matin tak pahunchun

Qazi anwar

kitab-e-ishq ki sharh-e-matin tak pahunchun

Qazi anwar

MORE BYQazi anwar

    kitāb-e-ishq sharh-e-matīn tak pahuñchūñ

    kabhī to mansab-e-a.alā-tarīn tak pahuñchūñ

    uḌaa.e phirtī hai mujh ko anā fazāoñ meñ

    bhalā maiñ kaise vafā zamīn tak pahuñchūñ

    mujhe vo mai to pilā de ki be-ḳhudī meñ bhī

    rumūz-e-hastī-e-kāmil-yaqīn tak pahuñchūñ

    hazār ḳhūbiyāñ mujh meñ haiñ rashk ke qābil

    hai merā azm ki maiñ behtarīn tak pahuñchūñ

    sunā hai maiñ ne bahut hasīñ hai ai duniyā

    maiñ chāhtā huuñ ki tujh se hasīn tak pahuñchūñ

    mujhe yaqīn hai un ke saath rahtā hai

    mirī bisāt kahāñ sābirīn tak pahuñchūñ

    ibādatoñ banūñ nuur is tarah 'anvar'

    nishān ban ke kisī jabīn tak pahuñchūñ

    kitab-e-ishq ki sharh-e-matin tak pahunchun

    kabhi to mansab-e-ala-tarin tak pahunchun

    uDae phirti hai mujh ko ana fazaon mein

    bhala main kaise wafa ki zamin tak pahunchun

    mujhe wo mai to pila de ki be-KHudi mein bhi

    rumuz-e-hasti-e-kaamil-yaqin tak pahunchun

    hazar KHubiyan mujh mein hain rashk ke qabil

    hai mera azm ki main behtarin tak pahunchun

    suna hai main ne bahut tu hasin hai ai duniya

    main chahta hun ki tujh se hasin tak pahunchun

    mujhe yaqin hai tu un ke sath rahta hai

    meri bisat kahan sabirin tak pahunchun

    ibaadaton ka banun nur is tarah 'anwar'

    nishan ban ke kisi ki jabin tak pahunchun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now