Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare

Josh Malsiani

kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare

Josh Malsiani

MORE BYJosh Malsiani

    kitāboñ ne go isti.āroñ meñ ham ko batā.e bahut se Thikāne tumhāre

    magar kuchh vazāhat se apnā patā do samajhte nahīñ ham ye mub.ham ishāre

    har ik phuul gulshan meñ ye kah rahā hai har ik jām-e-mai se ye ham sun rahe haiñ

    zamāne nazroñ meñ ghar hai usī jo hañs hañs ke din zindagī ke guzāre

    na ahl-e-haram ne madad hamārī na ahl-e-kalīsā ne ġham-ḳhvāriyāñ kiiñ

    agar bhī tarz-e-taġhāful na chhoḌe kahāñ jaa.eñ phir ham musībat ke maare

    qadāmat-pasandoñ pe kyuuñ hañs rahe ho ḳhudā qadāmat-pasandī to dekho

    hazāroñ nahīñ balki lākhoñ baras se vahī kahkashāñ hai vahī chāñd taare

    mire ashk-e-ḳhūnīñ gul-kāriyoñ se zamāne ko rangīñ qabā.eñ milī haiñ

    junūn-e-mohabbat ye faiz samjhūñ bayābāñ meñ bhī haiñ chaman ke nazāre

    na ġham mujh ko girdāb-e-ranj-o-balā na muhtāj huuñ maiñ kisī nāḳhudā

    safīne ko maujoñ zad se bachā kar chalā rahā huuñ kināre kināre

    tirī ḳhashmagīñ aañkh gardishoñ ne zamāne ko zer-o-zabar kar diyā hai

    sahāroñ pe koī bharosa kare kyā sahāre to ḳhud DhūñDte haiñ sahāre

    usī rū-e-raushan ko ham chāhte haiñ umīdoñ ko tārīk jis ne kiyā hai

    usī māh-e-tābāñ ko ham DhūñDte haiñ dikhā.e haiñ din ko hameñ jis ne taare

    tire shauq meñ jo chalā rahā hai jo raste mushkil se ghabrā rahā hai

    kabhī apnī manzil pe rahegā magar shart ye hai ki himmat na haare

    sunā hai ki shā'ir ho ai 'josh' tum bhī nazar bāġh-e-jannat pe kyuuñ hai tumhārī

    musaddas meñ haalī to ye kah ga.e haiñ jahannam ko bhar deñge shā'ir hamāre

    kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare

    magar kuchh wazahat se apna pata do samajhte nahin hum ye mubham ishaare

    har ek phul gulshan mein ye kah raha hai har ek jam-e-mai se ye hum sun rahe hain

    zamane ki nazron mein ghar hai usi ka jo hans hans ke din zindagi ke guzare

    na ahl-e-haram ne madad ki hamari na ahl-e-kalisa ne gham-KHwariyan kin

    agar tu bhi tarz-e-taghaful na chhoDe kahan jaen phir hum musibat ke mare

    qadamat-pasandon pe kyun hans rahe ho KHuda ki qadamat-pasandi to dekho

    hazaron nahin balki lakhon baras se wahi kahkashan hai wahi chand tare

    mere ashk-e-KHunin ki gul-kariyon se zamane ko rangin qabaen mili hain

    junun-e-mohabbat ka ye faiz samjhun bayaban mein bhi hain chaman ke nazare

    na gham mujh ko girdab-e-ranj-o-bala ka na muhtaj hun main kisi naKHuda ka

    safine ko maujon ki zad se bacha kar chala ja raha hun kinare kinare

    teri KHashmagin aankh ki gardishon ne zamane ko zer-o-zabar kar diya hai

    sahaaron pe koi bharosa kare kya sahaare to KHud DhunDte hain sahaare

    usi ru-e-raushan ko hum chahte hain umidon ko tarik jis ne kiya hai

    usi mah-e-taban ko hum DhunDte hain dikhae hain din ko hamein jis ne tare

    tere shauq mein jo chala ja raha hai jo raste ki mushkil se ghabra raha hai

    kabhi apni manzil pe ja hi rahega magar shart ye hai ki himmat na haare

    suna hai ki sha'ir ho ai 'josh' tum bhi nazar bagh-e-jannat pe kyun hai tumhaari

    musaddas mein haali to ye kah gae hain jahannam ko bhar denge sha'ir hamare

    Source:

    Fridaus-e-Gosh (Pg. 34)

    • Author: Josh Malsiani
      • Edition: 1968
      • Publisher: Markaz Tasneef-o-Talif, Nikodar
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now