Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitna dilkash fareb-e-hasti hai

Shankar Lal Shankar

kitna dilkash fareb-e-hasti hai

Shankar Lal Shankar

MORE BYShankar Lal Shankar

    kitnā dilkash fareb-e-hastī hai

    zindagī maut ko tarastī hai

    ye nasheb-o-farāz hastī hai

    har bulandī ko ek pastī hai

    dekh kar kyā karoge dil taraf

    ek ujḌī huī bastī hai

    maut aa kar jise uThā.egī

    zindagī vo hijāb-e-hastī hai

    jaan de kar mile jo us razā

    phir bhī mahñgī nahīñ hai sastī hai

    ruḳh ghaTā hai sū-e-mai-ḳhāna

    dekhiye ab kahāñ barastī hai

    us ke naġhmoñ se mast hai duniyā

    kitnā pur-kaif sāz-e-hastī hai

    hai ye saudā yaqīn 'shankar'

    but-parastī bhī haq-parastī hai

    kitna dilkash fareb-e-hasti hai

    zindagi maut ko tarasti hai

    ye nasheb-o-faraaz hasti hai

    har bulandi ko ek pasti hai

    dekh kar kya karoge dil ki taraf

    ek ujDi hui si basti hai

    maut aa kar jise uThaegi

    zindagi wo hijab-e-hasti hai

    jaan de kar mile jo us ki raza

    phir bhi mahngi nahin hai sasti hai

    ruKH ghaTa ka hai su-e-mai-KHana

    dekhiye ab kahan barasti hai

    us ke naghmon se mast hai duniya

    kitna pur-kaif saz-e-hasti hai

    hai ye sauda yaqin ka 'shankar'

    but-parasti bhi haq-parasti hai

    Source:

    Dair-o-Haram (Pg. 279)

    • Author: Shankar Lal Shankar
      • Publisher: Sahir Hoshiyaar puri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now