Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitna mushkil tha ye rasta kaun likhega

Yasmeen Hameed

kitna mushkil tha ye rasta kaun likhega

Yasmeen Hameed

MORE BYYasmeen Hameed

    kitnā mushkil thā ye rasta kaun likhegā

    puurī baat aur puurā qissa kaun likhegā

    din aur raat ke aadhe aadhe baTvāre meñ

    kitnā kam thā kis hissa kaun likhegā

    kin hāthoñ ne kaise kaise patthar kaaTe

    kaise din bojh uThāyā kaun likhegā

    kitnī der ko hariyālī ne āñkheñ kholīñ

    kitnī der ko bādal barsā kaun likhegā

    jangal meñ gum ho jaane vaale raste par

    kitnī dhuup thī kitnā saaya kaun likhegā

    shahr jalā to kis ne us raakh sameTī

    kitnā thā kis sarmāya kaun likhegā

    girtī dīvāroñ meñ saañs kahāñ thī baaqī

    aur kahāñ tak bikhrā malba kaun likhegā

    kitna mushkil tha ye rasta kaun likhega

    puri baat aur pura qissa kaun likhega

    din aur raat ke aadhe aadhe baTware mein

    kitna kam tha kis ka hissa kaun likhega

    kin hathon ne kaise kaise patthar kaTe

    kaise din ka bojh uThaya kaun likhega

    kitni der ko hariyali ne aankhen kholin

    kitni der ko baadal barsa kaun likhega

    jangal mein gum ho jaane wale raste par

    kitni dhup thi kitna saya kaun likhega

    shahr jala to kis ne us ki rakh sameTi

    kitna tha kis ka sarmaya kaun likhega

    girti diwaron mein sans kahan thi baqi

    aur kahan tak bikhra malba kaun likhega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now