Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya

Rafiquzzaman

kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya

Rafiquzzaman

MORE BYRafiquzzaman

    kitnā poshīda havāoñ safar rakkhā gayā

    aane vaale mausamoñ se be-ḳhabar rakkhā gayā

    aaj bhī phirtā huuñ us justujū meñ har taraf

    kaun bastī meñ āḳhir merā ghar rakkhā gayā

    chand mub.ham ḳhvāb āñkhoñ meñ liye phirtā huuñ maiñ

    aur kyā mere liye zād-e-safar rakkhā gayā

    dostoñ meñ kuchh mirī pahchān to baaqī rahe

    is liye mujh meñ ajab rañg-e-hunar rakhā gayā

    us hathelī par chamaktī ret ke zarre haiñ ab

    jis hathelī par kabhī ganj-e-guhar rakhā gayā

    nok-e-neza par kabhī tasht-e-ra.ūnat meñ kabhī

    har tamāshe ke liye merā sar rakkhā gayā

    merā apnā ḳhauf kyā kam thā lekin ai 'rafīq'

    merī apnī zaat meñ kis kis Dar rakkhā gayā

    kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya

    aane wale mausamon se be-KHabar rakkha gaya

    aaj bhi phirta hun us ki justuju mein har taraf

    kaun si basti mein aaKHir mera ghar rakkha gaya

    chand mubham KHwab aankhon mein liye phirta hun main

    aur kya mere liye zad-e-safar rakkha gaya

    doston mein kuchh meri pahchan to baqi rahe

    is liye mujh mein ajab rang-e-hunar rakha gaya

    us hatheli par chamakti ret ke zarre hain ab

    jis hatheli par kabhi ganj-e-guhar rakha gaya

    nok-e-neza par kabhi tasht-e-raunat mein kabhi

    har tamashe ke liye mera hi sar rakkha gaya

    mera apna KHauf hi kya kam tha lekin ai 'rafiq'

    meri apni zat mein kis kis ka Dar rakkha gaya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 643)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now