Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitna roka magar ruka hi nahin

Rabia Basri

kitna roka magar ruka hi nahin

Rabia Basri

MORE BYRabia Basri

    kitnā rokā magar rukā nahīñ

    aur muḌ kar to dekhtā nahīñ

    terī chaukhaT bhārī darvāza

    dastakeñ de ke bhī khulā nahīñ

    mujh meñ itnā bikhar gayā hai vo

    laakh chāhūñ simaT rahā nahīñ

    sāhibā dost maan rakkhā thā

    aur dukh meñ boltā nahīñ

    hijr ne ḳhud bhī ye gavāhī

    vāpsī to rāsta nahīñ

    kunj-e-tanhā.ī meñ asīr-e-ishq

    ḳhud se bāhar kabhī gayā nahīñ

    ek muddat se āshnā haiñ magar

    aa.ine se mukālima nahīñ

    kis mohabbat baat karte ho

    jis mohabbat meñ dil jalā nahīñ

    kis ko itnā maqām dete ham

    itnā achchhā koī lagā nahīñ

    kuchh to hotā ki zindagī karte

    is ta.alluq kuchh sila nahīñ

    saarī duniyā shumār baiThī huuñ

    ya.anī gintī meñ 'rābiya' nahīñ

    kitna roka magar ruka hi nahin

    aur muD kar to dekhta hi nahin

    teri chaukhaT ka bhaari darwaza

    dastaken de ke bhi khula hi nahin

    mujh mein itna bikhar gaya hai wo

    lakh chahun simaT raha hi nahin

    sahiba dost man rakkha tha

    aur tu dukh mein bolta hi nahin

    hijr ne KHud bhi ye gawahi di

    wapsi ka to rasta hi nahin

    kunj-e-tanhai mein asir-e-ishq

    KHud se bahar kabhi gaya hi nahin

    ek muddat se aashna hain magar

    aaine se mukalima hi nahin

    kis mohabbat ki baat karte ho

    jis mohabbat mein dil jala hi nahin

    kis ko itna maqam dete hum

    itna achchha koi laga hi nahin

    kuchh to hota ki zindagi karte

    is talluq ka kuchh sila hi nahin

    sari duniya shumar baiThi hun

    yani ginti mein 'rabiya' hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now