Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitne arman kitni ummidon ke paikar le gaya

Mahboob Anwar

kitne arman kitni ummidon ke paikar le gaya

Mahboob Anwar

MORE BYMahboob Anwar

    kitne armāñ kitnī ummīdoñ ke paikar le gayā

    ab ke phir sailāb-e-ġham āñkhoñ ke manzar le gayā

    ḳhāmushī oḌhe hue dīvāna mere gaañv

    chun ke tere shahr har ek patthar le gayā

    mujh ko pahle koī pyāsā vādī-e-qutbain

    apne kuuze meñ samo kar phir samundar le gayā

    ab ke mere qatl sāzish meñ hai vo bhī sharīk

    maañg kar mujh se merā dost ḳhanjar le gayā

    bas isī ik baat par rūThe haiñ arbāb-e-hunar

    ġham zamāne bhar kyoñ mahbūb 'anvar' le gayā

    kitne arman kitni ummidon ke paikar le gaya

    ab ke phir sailab-e-gham aankhon ke manzar le gaya

    KHamushi oDhe hue diwana mere ganw ka

    chun ke tere shahr ka har ek patthar le gaya

    mujh ko pahle koi pyasa wadi-e-qutbain ka

    apne kuze mein samo kar phir samundar le gaya

    ab ke mere qatl ki sazish mein hai wo bhi sharik

    mang kar mujh se hi mera dost KHanjar le gaya

    bas isi ek baat par ruThe hain arbab-e-hunar

    gham zamane bhar ka kyon mahbub 'anwar' le gaya

    Source:

    Nuqte Ka Safar (Pg. 49)

    • Author: Mahboob Anwar
      • Publisher: Mahboob Anwar
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now