Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitne asrar wahime mein hain

Osaama ameer

kitne asrar wahime mein hain

Osaama ameer

MORE BYOsaama ameer

    kitne asrār vāhime meƱ haiƱ

    ham ki masrÅ«f khojne meƱ haiƱ

    ham-safar lā-makān ko pahuƱchā

    aur ham pahle marhale meƱ haiƱ

    to abhī tak dikhā nahīƱ hai hameƱ

    ham abhī tak murāqabe meƱ haiƱ

    ye jo khiįøŒkÄ« ke paar manzar hai

    mas.ala us ko dekhne meƱ haiƱ

    apnī apnī hī fikr hai sab ko

    apne apne hī dā.ere meƱ haiƱ

    vā.izā intizār kar thoįøŒÄ

    shaiįø³h-sāhib to mai-kade meƱ haiƱ

    ye įø³hirad ko shikast deƱge miyāƱ

    ye to majnÅ«Ć± ke qāfile meƱ haiƱ

    bhed jitne haiƱ kā.enāt andar

    ek nuqte ke silsile meƱ haiƱ

    kitne asrar wahime mein hain

    hum ki masruf khojne mein hain

    ham-safar la-makan ko pahuncha

    aur hum pahle marhale mein hain

    to abhi tak dikha nahin hai hamein

    hum abhi tak muraqabe mein hain

    ye jo khiDki ke par manzar hai

    masala us ko dekhne mein hain

    apni apni hi fikr hai sab ko

    apne apne hi daere mein hain

    waiza intizar kar thoDa

    shaiKH-sahib to mai-kade mein hain

    ye KHirad ko shikast denge miyan

    ye to majnun ke qafile mein hain

    bhed jitne hain kaenat andar

    ek nuqte ke silsile mein hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now