kitne hi gham-shanas mile ahl-e-gham mile
kitne hī ġham-shanās mile ahl-e-ġham mile
lekin jo bā-vafā the vahī log kam mile
anjān rāstoñ se ulajhtī rahī hayāt
jab jab kisī kī reshmīñ zulfoñ meñ ġham mile
shahr-e-jigar sī baat kahīñ bhī na mil sakī
yuuñ to hameñ bhī saiñkaḌoñ ahl-e-qalam mile
ḳhāmoshiyoñ ne un kī zabāñ jaise chhīn lī
jo ham ko DhūñDte the unheñ jab bhī ham mile
jab niiñd aa.ī vaqt ke sūraj ko ai 'ziyā'
shabnam ke ashk phuul ke siine meñ zam mile
kitne hi gham-shanas mile ahl-e-gham mile
lekin jo ba-wafa the wahi log kam mile
anjaan raston se ulajhti rahi hayat
jab jab kisi ki reshmin zulfon mein gham mile
shahr-e-jigar si baat kahin bhi na mil saki
yun to hamein bhi sainkaDon ahl-e-qalam mile
KHamoshiyon ne un ki zaban jaise chhin li
jo hum ko DhunDte the unhen jab bhi hum mile
jab nind aai waqt ke suraj ko ai 'ziya'
shabnam ke ashk phul ke sine mein zam mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.