kitne hi pa-e-sanam par kiye sajde maine
kitne hī pā-e-sanam par kiye sajde maiñ ne
kabhī puurā na huā shauq jabīñ-sā.ī kā
muskurāhaT lab-e-nāzuk pe nigāheñ nīchī
kis se sīkhā hai ye andāz dil-ārā.ī kā
aa gayā un kā shabāb un kī nigāheñ badlīñ
baḌh gayā shauq unheñ kuchh sitam-ārā.ī kā
jalve ḳhud husn-e-jahāñ-tāb ke phaile har sū
jab huā shauq unheñ anjuman-ārā.ī kā
dafn kar ke mujhe ruḳhsat hue yār-o-ahbāb
tuul ab hashr talak hai shab-e-tanhā.ī kā
kitne hi pa-e-sanam par kiye sajde main ne
kabhi pura na hua shauq jabin-sai ka
muskurahaT lab-e-nazuk pe nigahen nichi
kis se sikha hai ye andaz dil-arai ka
aa gaya un ka shabab un ki nigahen badlin
baDh gaya shauq unhen kuchh sitam-arai ka
jalwe KHud husn-e-jahan-tab ke phaile har su
jab hua shauq unhen anjuman-arai ka
dafn kar ke mujhe ruKHsat hue yar-o-ahbab
tul ab hashr talak hai shab-e-tanhai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.