Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitne mein banti hai mohr aisi

Ahmad Javaid

kitne mein banti hai mohr aisi

Ahmad Javaid

MORE BYAhmad Javaid

    kitne meñ bantī hai mohr aisī

    nā-chīz ahmad-jāved-'ovaisī'

    mere suḳhan meñ hai ek shai

    āvāz itnī ḳhāmoshī aisī

    kal āshiqoñ aate mazkūr

    kyā kyā na bahke allāma-qaisī

    is mantiqī par apnī nazar hai

    min-vaj.h aisī min-vaj.h vaisī

    yaañ na honā bhī vahm hai

    butlān kis tahqīq kaisī

    khultī nahīñ hai mujh par ye duniyā

    dil meñ nahīñ āñkhoñ meñ hai

    jitnī masāfat sar kar chukā huuñ

    lagtī hai vo bhī nā-karda tai

    sūkhā paḌā hai dariyā to kab

    hai mauj-ḳhezī vaisī vaisī

    ab shahr saarā ġharqāb jaano

    ashkoñ meñ aa.ī ye buuñd kaisī

    sāġhar milā hai sāġhar mujh ko

    us meñ bharī hai mai koī mai

    detā hai tark-e-duniyā dāvat

    'jāved' to aisī-kī-taisī

    kitne mein banti hai mohr aisi

    na-chiz ahmad-jawed-'owaisi'

    mere suKHan mein hai ek shai si

    aawaz itni KHamoshi aisi

    kal aashiqon ka aate hi mazkur

    kya kya na bahke allama-qaisi

    is mantiqi par apni nazar hai

    min-wajh aisi min-wajh waisi

    yan ka na hona bhi wahm hi hai

    butlan kis ka tahqiq kaisi

    khulti nahin hai mujh par ye duniya

    dil mein nahin si aankhon mein hai si

    jitni masafat sar kar chuka hun

    lagti hai wo bhi na-karda tai si

    sukha paDa hai dariya to kab ka

    hai mauj-KHezi waisi ki waisi

    ab shahr sara gharqab jaano

    ashkon mein aai ye bund kaisi

    saghar mila hai saghar sa mujh ko

    us mein bhari hai mai koi mai si

    deta hai tark-e-duniya ki dawat

    'jawed' ki to aisi-ki-taisi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now