Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni aasani se duniya ki girah kholta hai

Rajesh Reddy

kitni aasani se duniya ki girah kholta hai

Rajesh Reddy

MORE BYRajesh Reddy

    kitnī āsānī se duniyā girah kholtā hai

    mujh meñ ik bachcha buzurgoñ tarah boltā hai

    kyā ajab hai ki uḌātā hai kabūtar pahle

    phir fazāoñ meñ vo bārūd gholtā hai

    ruup kitne bhareñ kitne chehre badleñ

    ā.īna aap ko apnī tarah taultā hai

    soch lo kal kahīñ aañsū na bahāne paḌ jaa.eñ

    ḳhuun kyā hai ragoñ meñ vo yūñhī khaultā hai

    haath uThātā hai duāoñ ko falak bhī us dam

    jab parinda koī parvāz ko par taultā hai

    kaun vāqif nahīñ sansār ke sach se lekin

    sab sansār har chiiz pe man Doltā hai

    kitni aasani se duniya ki girah kholta hai

    mujh mein ek bachcha buzurgon ki tarah bolta hai

    kya ajab hai ki uData hai kabutar pahle

    phir fazaon mein wo barud ki bu gholta hai

    rup kitne hi bharen kitne hi chehre badlen

    aaina aap ko apni hi tarah taulta hai

    soch lo kal kahin aansu na bahane paD jaen

    KHun ka kya hai ragon mein wo yunhi khaulta hai

    hath uThata hai duaon ko falak bhi us dam

    jab parinda koi parwaz ko par taulta hai

    kaun waqif nahin sansar ke sach se lekin

    sab ka sansar ki har chiz pe man Dolta hai

    Source:

    Vajood (Pg. 6)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now