Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni aashaon ki lashen sukhen dil ke aangan mein

Ali Sardar Jafri

kitni aashaon ki lashen sukhen dil ke aangan mein

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    kitnī āshāoñ lāsheñ sūkheñ dil ke āñgan meñ

    kitne sūraj Duub ga.e haiñ chehroñ ke pīle-pan meñ

    bachchoñ ke mīThe hoñToñ par pyaas sūkhī ret jamī

    duudh dhāreñ gaa.e ke than se gir ga.iiñ nāgoñ ke phan meñ

    registānoñ meñ jalte haiñ paḌe hue sau naqsh-e-qadam par

    aaj ḳhirāmāñ koī nahīñ hai ummīdoñ ke gulshan meñ

    chaknā-chūr huā ḳhvāboñ dilkash dilchasp ā.īna

    TeḌhī tirchhī tasvīreñ haiñ TūTe-phūTe darpan meñ

    pā-e-junūñ meñ paḌī huī haiñ hirs-o-havā zanjīreñ

    qaid hai ab tak haath sahar tārīkī ke kañgan meñ

    āñkhoñ kuchh nauras kaliyāñ nīm-shagufta ġhuncha-e-lab

    kaise kaise phuul bhare haiñ gulchīnoñ ke dāman meñ

    dast-e-ġhaib tarah chhupā hai zulm haath sitam vaar

    ḳhushk lahū bārish dekhī ham ne kūcha-e-barzan meñ

    kitni aashaon ki lashen sukhen dil ke aangan mein

    kitne suraj Dub gae hain chehron ke pile-pan mein

    bachchon ke miThe honTon par pyas ki sukhi ret jami

    dudh ki dhaaren gae ke than se gir gain nagon ke phan mein

    registanon mein jalte hain paDe hue sau naqsh-e-qadam par

    aaj KHiraman koi nahin hai ummidon ke gulshan mein

    chakna-chur hua KHwabon ka dilkash dilchasp aaina

    TeDhi tirchhi taswiren hain TuTe-phuTe darpan mein

    pa-e-junun mein paDi hui hain hirs-o-hawa ki zanjiren

    qaid hai ab tak hath sahar ka tariki ke kangan mein

    aankhon ki kuchh nauras kaliyan nim-shagufta ghuncha-e-lab

    kaise kaise phul bhare hain gulchinon ke daman mein

    dast-e-ghaib ki tarah chhupa hai zulm ka hath sitam ka war

    KHushk lahu ki barish dekhi hum ne kucha-e-barzan mein

    Source:

    Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 234)

    • Author: Ali Ahmad Fatmi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now