Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni dilkash hayat hoti hai

Sadiq Bajwa

kitni dilkash hayat hoti hai

Sadiq Bajwa

MORE BYSadiq Bajwa

    kitnī dilkash hayāt hotī hai

    jab kahīñ dil baat hotī hai

    ġham tārīkiyoñ meñ raushan-tar

    un ke va.ade raat hotī hai

    kis ne apnā ma.aal dekhā hai

    zindagī be-sabāt hotī hai

    jo anā ke asiir hote haiñ

    un mehvar to zaat hotī hai

    vus.at-e-qalb bisāt na pūchh

    is meñ ik kā.enāt hotī hai

    lamha lamha sukūñ nahīñ hotā

    jab adāvat baat hotī hai

    hai yaqīñ baa'd zindagī ke kahīñ

    ġham se 'sādiq' najāt hotī hai

    kitni dilkash hayat hoti hai

    jab kahin dil ki baat hoti hai

    gham ki tarikiyon mein raushan-tar

    un ke wade ki raat hoti hai

    kis ne apna maal dekha hai

    zindagi be-sabaat hoti hai

    jo ana ke asir hote hain

    un ka mehwar to zat hoti hai

    wusat-e-qalb ki bisat na puchh

    is mein ek kaenat hoti hai

    lamha lamha sukun nahin hota

    jab adawat ki baat hoti hai

    hai yaqin ba'd zindagi ke kahin

    gham se 'sadiq' najat hoti hai

    Source:

    Mizan-e-Shanasai (Pg. 35)

    • Author: Sadiq Bajwa
      • Publisher: Noor Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now