Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni hi be-zarar sahi teri KHarabiyan

Basir Sultan Kazmi

kitni hi be-zarar sahi teri KHarabiyan

Basir Sultan Kazmi

MORE BYBasir Sultan Kazmi

    kitnī be-zarar sahī terī ḳharābiyāñ

    'bāsir' ḳharābiyāñ to haiñ phir bhī ḳharābiyāñ

    hālat jagah badalne se badlī nahīñ mirī

    hotī haiñ har jagah kuchh apnī ḳharābiyāñ

    chāhtā hai apnī na.ī ḳhūbiyoñ daad

    mujh ko aziiz terī purānī ḳharābiyāñ

    jūñhī ta.alluqāt kisī se hue ḳharāb

    saare jahāñ us meñ mileñgī ḳharābiyāñ

    sarkār hai apnā me.ār-e-intiḳhāb

    yaaro kahāñ ḳhūbiyāñ kaisī ḳharābiyāñ

    aadam ḳhatā putlā hai gar maan leñ ye baat

    nikleñgī is ḳharābī se kitnī ḳharābiyāñ

    un hastiyoñ raah pe dekheñge chal ke ham

    jin meñ na thiiñ kisī bhī tarah ḳharābiyāñ

    bo.eñge apne baaġh meñ sab ḳhūbiyoñ ke biij

    jaḌ se ukhāḌ pheñkeñge saarī ḳharābiyāñ

    'bāsir' keī shaḳhsiyat bhī ajab hai ki is meñ haiñ

    kuchh ḳhūbiyāñ ḳharāb kuchh achchhī ḳharābiyāñ

    kitni hi be-zarar sahi teri KHarabiyan

    'basir' KHarabiyan to hain phir bhi KHarabiyan

    haalat jagah badalne se badli nahin meri

    hoti hain har jagah ki kuchh apni KHarabiyan

    tu chahta hai apni nai KHubiyon ki dad

    mujh ko aziz teri purani KHarabiyan

    junhi talluqat kisi se hue KHarab

    sare jahan ki us mein milengi KHarabiyan

    sarkar ka hai apna hi mear-e-intiKHab

    yaro kahan ki KHubiyan kaisi KHarabiyan

    aadam KHata ka putla hai gar man len ye baat

    niklengi is KHarabi se kitni KHarabiyan

    un hastiyon ki rah pe dekhenge chal ke hum

    jin mein na thin kisi bhi tarah ki KHarabiyan

    boenge apne bagh mein sab KHubiyon ke bij

    jaD se ukhaD phenkenge sari KHarabiyan

    'basir' kei shaKHsiyat bhi ajab hai ki is mein hain

    kuchh KHubiyan KHarab kuchh achchhi KHarabiyan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now