kitni ujlat mein miTa Dala gaya
kitnī 'ujlat meñ miTā Daalā gayā
daf'atan sab kuchh bhulā Daalā gayā
phir vahī ham haiñ vahī ġhār-e-ḳhalā
sāmne se sab haTā Daalā gayā
kuchh nahīñ baaqī rahā yādeñ talak
aag meñ sab kuchh jalā Daalā gayā
ham charāġhoñ kī madad karte rahe
aur udhar sūraj bujhā Daalā gayā
dhajjiyāñ bikhrī milīñ tā'bīr kī
ḳhvāb ko jaḌ se hilā Daalā gayā
ham ko kuchh aayā nahīñ āḳhir talak
har sabaq yuuñ to sikhā Daalā gayā
rah ga.iiñ ab bhī ka.ī bāteñ magar
yaad thā jo kuchh sunā Daalā gayā
kitni 'ujlat mein miTa Dala gaya
daf'atan sab kuchh bhula Dala gaya
phir wahi hum hain wahi ghaar-e-KHala
samne se sab haTa Dala gaya
kuchh nahin baqi raha yaaden talak
aag mein sab kuchh jala Dala gaya
hum charaghon ki madad karte rahe
aur udhar suraj bujha Dala gaya
dhajjiyan bikhri milin ta'bir ki
KHwab ko jaD se hila Dala gaya
hum ko kuchh aaya nahin aaKHir talak
har sabaq yun to sikha Dala gaya
rah gain ab bhi kai baaten magar
yaad tha jo kuchh suna Dala gaya
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 74)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.