Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitnon ne baisakhi thami kitne kandhe Tut gae

Kumar Anupam

kitnon ne baisakhi thami kitne kandhe Tut gae

Kumar Anupam

MORE BYKumar Anupam

    kitnoñ ne baisākhī thāmī kitne kāñdhe Tuut ga.e

    shohrat ke is bojh ko Dho kar achchhe achchhe Tuut ga.e

    har dushman ko samjhātā huuñ mujh se baġhāvat Thiik nahīñ

    patthar se Takrā kar jaane kitne shīshe Tuut ga.e

    vaqt āñdhī meñ kuchh ham ne aise peḌ bhī dekhe haiñ

    vo jin ummīd nahīñ thī vaqt se pahle Tuut ga.e

    vo ma.asūm paglī laḌkī bin biyāhe ghar baiThī hai

    ik ġhurbat ḳhātir ab tak chhappan rishte Tuut ga.e

    apne is husn pe itnā naaz na kar sun husn ke but

    ek buḌhāpe Thokar meñ lākhoñ putle Tuut ga.e

    ham se pūchho pahuñche haiñ ham kaise kaise manzil tak

    talvoñ ke andar chubh chubh kar kitne kāñTe Tuut ga.e

    ishq vafā ummīdeñ chāhat nisbat qurbat ai 'anupan'

    ham se to bachpan meñ ye saare khilaune Tuut ga.e

    kitnon ne baisakhi thami kitne kandhe Tut gae

    shohrat ke is bojh ko Dho kar achchhe achchhe Tut gae

    har dushman ko samjhata hun mujh se baghawat Thik nahin

    patthar se Takra kar jaane kitne shishe Tut gae

    waqt ki aandhi mein kuchh hum ne aise peD bhi dekhe hain

    wo jin ki ummid nahin thi waqt se pahle Tut gae

    wo masum si pagli laDki bin biyahe ghar baiThi hai

    ek ghurbat ki KHatir ab tak chhappan rishte Tut gae

    tu apne is husn pe itna naz na kar sun husn ke but

    ek buDhape ki Thokar mein lakhon putle Tut gae

    hum se puchho pahunche hain hum kaise kaise manzil tak

    talwon ke andar chubh chubh kar kitne kanTe Tut gae

    ishq wafa ummiden chahat nisbat qurbat ai 'anupan'

    hum se to bachpan mein hi ye sare khilaune Tut gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now