kya tajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche
kyā ta'ajjub ki mirī rūh-e-ravāñ tak pahuñche
pahle koī mire naġhmoñ kī zabāñ tak pahuñche
jab har ik shorish-e-ġham zabt-e-fuġhāñ tak pahuñche
phir ḳhudā jaane ye hañgāma kahāñ tak pahuñche
aañkh tak dil se na aa.e na zabāñ tak pahuñche
baat jis kī hai usī āfat-e-jāñ tak pahuñche
tū jahāñ par thā bahut pahle vahīñ aaj bhī hai
dekh rindān-e-ḳhush-anfās kahāñ tak pahuñche
jo zamāne ko burā kahte haiñ ḳhud haiñ vo bure
kaash ye baat tire gosh-e-girāñ tak pahuñche
baḌh ke rindoñ ne qadam hazrat-e-vā'iz ke liye
girte paḌte jo dar-e-pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
tū mire hāl-e-pareshāñ pe bahut tanz na kar
apne gesū bhī zarā dekh kahāñ tak pahuñche
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
'ishq kī choT dikhāne meñ kahīñ aatī hai
kuchh ishāre the ki jo lafz-o-bayāñ tak pahuñche
jalve betāb the jo parda-e-fitrat meñ 'jigar'
ḳhud taḌap kar mirī chashm-e-nigarāñ tak pahuñche
kya ta'ajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche
pahle koi mere naghmon ki zaban tak pahunche
jab har ek shorish-e-gham zabt-e-fughan tak pahunche
phir KHuda jaane ye hangama kahan tak pahunche
aankh tak dil se na aae na zaban tak pahunche
baat jis ki hai usi aafat-e-jaan tak pahunche
tu jahan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai
dekh rindan-e-KHush-anfas kahan tak pahunche
jo zamane ko bura kahte hain KHud hain wo bure
kash ye baat tere gosh-e-giran tak pahunche
baDh ke rindon ne qadam hazrat-e-wa'iz ke liye
girte paDte jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
tu mere haal-e-pareshan pe bahut tanz na kar
apne gesu bhi zara dekh kahan tak pahunche
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
'ishq ki choT dikhane mein kahin aati hai
kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayan tak pahunche
jalwe betab the jo parda-e-fitrat mein 'jigar'
KHud taDap kar meri chashm-e-nigaran tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.