Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi aag lams ki phenk de mere band band ke samne

Mansoor Aafaque

koi aag lams ki phenk de mere band band ke samne

Mansoor Aafaque

MORE BYMansoor Aafaque

    koī aag lams pheñk de mire band band ke sāmne

    chale film koī visāl dil-e-hijr-mañd ke sāmne

    ai hunar-varī tire ism chup ye amal ramal ke tilism chup

    ye hazār gun se bhare haiñ kyā kisī bhāg-vand ke sāmne

    khulī khiḌkiyoñ ke flat se zarā jhāñk shaam ko road par

    tire intizār manzileñ haiñ mirī kamand ke sāmne

    baḌe meḳh meḳh utaar bam mire zaḳhm zaḳhm pahāḌ meñ

    koī haisiyat nahīñ maut kisī sar-buland ke sāmne

    ka.ī DaaT kaam nasīb the jise baam baam ma.āsh ke

    vo mināra ret devtā thā vo jal-pasand ke sāmne

    koi aag lams ki phenk de mere band band ke samne

    chale film koi visal ki dil-e-hijr-mand ke samne

    ai hunar-wari tere ism chup ye amal ramal ke tilism chup

    ye hazar gun se bhare hain kya kisi bhag-wand ke samne

    khuli khiDkiyon ke flat se zara jhank sham ko road par

    tere intizar ki manzilen hain meri kamand ke samne

    baDe meKH meKH utar bam mere zaKHm zaKHm pahaD mein

    koi haisiyat nahin maut ki kisi sar-buland ke samne

    kai DaT kaam nasib the jise baam baam maash ke

    wo minara ret ka dewta tha wo jal-pasand ke samne

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 440)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now