koi aaghaz mein anjam bata jata hai
koī āġhāz meñ anjām batā jaatā hai
aur phir puurī kahānī kā maza jaatā hai
ham yahī sochte haiñ rāste bhar phuul liye
ik mulāqāt pe kyā tohfa diyā jaatā hai
'ishq jis se ho tirī raah takī jaatī hai
hijr jis se ho tujhe yaad kiyā jaatā hai
kitne hī ranj haiñ shikve haiñ magar ye bhī hai
jis ko jaanā ho use jaane diyā jaatā hai
hijr kā husn udāsī se baḌhātā huuñ maiñ
achchhā misra' ho to phir sher kahā jaatā hai
merī tanhā.ī meñ Daale haiñ ḳhalal chhipkaliyāñ
us kī tasvīr pe phir dhyān chalā jaatā hai
koi aaghaz mein anjam bata jata hai
aur phir puri kahani ka maza jata hai
hum yahi sochte hain raste bhar phul liye
ek mulaqat pe kya tohfa diya jata hai
'ishq jis se ho teri rah taki jati hai
hijr jis se ho tujhe yaad kiya jata hai
kitne hi ranj hain shikwe hain magar ye bhi hai
jis ko jaana ho use jaane diya jata hai
hijr ka husn udasi se baDhata hun main
achchha misra' ho to phir sher kaha jata hai
meri tanhai mein Dale hain KHalal chhipkaliyan
us ki taswir pe phir dhyan chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.