Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi aazar ho to baqi hai abhi kaam bahut

Jamuna Parsad Rahi

koi aazar ho to baqi hai abhi kaam bahut

Jamuna Parsad Rahi

MORE BYJamuna Parsad Rahi

    koī aazar ho to baaqī hai abhī kaam bahut

    be-ḳhad-o-ḳhāl haiñ kohsār meñ asnām bahut

    un daraḳhtoñ ke muqaddar meñ bhī likh fasl-e-yaqīñ

    jin shāḳhoñ pe hai shādābī-e-auhām bahut

    zindagī tā-had-e-imkāñ hai sarāboñ safar

    phir bhī gunjā.ish-e-īmāñ hai bahar-gām bahut

    jin dahlīz pe ugte haiñ anā ke sūraj

    un har sub.h pe bhārī hai mirī shaam bahut

    thā azal se hameñ ḳhauf-e-charāġh-e-ḳhāna

    go ki mushkil na thī tā'mīr-e-dar-o-bām bahut

    tum mire zikr se muhtāt rahoge kab tak

    kal ke aḳhbār uchhāleñge mirā naam bahut

    koi aazar ho to baqi hai abhi kaam bahut

    be-KHad-o-KHal hain kohsar mein asnam bahut

    un daraKHton ke muqaddar mein bhi likh fasl-e-yaqin

    jin ki shaKHon pe hai shadabi-e-auham bahut

    zindagi ta-had-e-imkan hai sarabon ka safar

    phir bhi gunjaish-e-iman hai bahar-gam bahut

    jin ki dahliz pe ugte hain ana ke suraj

    un ki har subh pe bhaari hai meri sham bahut

    tha azal hi se hamein KHauf-e-charagh-e-KHana

    go ki mushkil na thi ta'mir-e-dar-o-baam bahut

    tum mere zikr se muhtat rahoge kab tak

    kal ke aKHbar uchhaalenge mera nam bahut

    Source:

    Tahreek Jild 25 Shumara 3 June 1977-Svk (Pg. 30)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now