Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de

Aftab Shamsi

koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de

Aftab Shamsi

MORE BYAftab Shamsi

    koī achchhī ġhazal kānoñ meñ mere ghol de

    qaid-e-tanhā.ī meñ huuñ maiñ mujh ko aa kar khol de

    ye tanāv jism baḌhne nahīñ degā tujhe

    chust pairāhan meñ apne zarā jhol de

    ek laḌkī jal rahī hai chilchilātī dhuup meñ

    koī bādal aa ke us par apnī chhatrī khol de

    raah takte jism majlis meñ sadiyāñ ho ga.iiñ

    jhāñk kar andhe kuñ.eñ meñ ab to koī bol de

    maiñ ḳharīdār-e-vafā huuñ giraftār-e-vafā

    merī bāñhoñ meñ thiraktā jism apnā tol de

    der tak banjāra kal koī sadā detā rahā

    kaun hai bāzār meñ jo jins-e-dil mol de

    jaane kab se faisla qismat sunñe ke liye

    muntazir baiThā huuñ maiñ apnī muTThī khol de

    sher achchhe hoñ to be-gā.e bhī mil jaatī hai daad

    ḳhudārā lahn ke hāthoñ meñ mat kashkol de

    koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de

    qaid-e-tanhai mein hun main mujh ko aa kar khol de

    ye tanaw jism ka baDhne nahin dega tujhe

    chust pairahan mein tu apne zara sa jhol de

    ek laDki jal rahi hai chilchilati dhup mein

    koi baadal aa ke us par apni chhatri khol de

    rah takte jism ki majlis mein sadiyan ho gain

    jhank kar andhe kunen mein ab to koi bol de

    main KHaridar-e-wafa hun tu giraftar-e-wafa

    meri banhon mein thirakta jism apna tol de

    der tak banjara kal koi sada deta raha

    kaun hai bazar mein jo jins-e-dil ka mol de

    jaane kab se faisla qismat ka sunne ke liye

    muntazir baiTha hun main tu apni muTThi khol de

    sher achchhe hon to be-gae bhi mil jati hai dad

    tu KHudara lahn ke hathon mein mat kashkol de

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-054) (Pg. ebook-68 page-66)

      • Edition: 1970
      • Publisher: Aqeela Shaheen
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now