aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi anmol shai pai hui si lag rahi hai

riaz hanfi

koi anmol shai pai hui si lag rahi hai

riaz hanfi

MORE BYriaz hanfi

    koī anmol shai paa.ī huī lag rahī hai

    ki chehre par chamak aa.ī huī lag rahī hai

    tasalsul hai ḳhunuk sāyoñ jo had-e-nazar tak

    fazā meñ zulf lahrā.ī huī lag rahī hai

    gayā hai kaun uTh kar aaj is bazm-e-jahāñ se

    udāsī har taraf chhā.ī huī lag rahī hai

    kahīñ ham dekhte haiñ be-hisī par ḳhauf taarī

    kahīñ ġhairat bhī tharrā.ī huī lag rahī hai

    tujhe rote hue us ne kahīñ dekhā hai shāyad

    ki shabnam aaj sharmā.ī huī lag rahī hai

    abhī kuchh der pahle is qadar ḳhushbū kahāñ thī

    ye mahfil terī mahkā.ī huī lag rahī hai

    tasavvur meñ na jaane aa gayā hai kis chehra

    tabī.at aaj lalchā.ī huī lag rahī hai

    koi anmol shai pai hui si lag rahi hai

    ki chehre par chamak aai hui si lag rahi hai

    tasalsul hai KHunuk sayon ka jo had-e-nazar tak

    faza mein zulf lahrai hui si lag rahi hai

    gaya hai kaun uTh kar aaj is bazm-e-jahan se

    udasi har taraf chhai hui si lag rahi hai

    kahin hum dekhte hain be-hisi par KHauf tari

    kahin ghairat bhi tharrai hui si lag rahi hai

    tujhe rote hue us ne kahin dekha hai shayad

    ki shabnam aaj sharmai hui si lag rahi hai

    abhi kuchh der pahle is qadar KHushbu kahan thi

    ye mahfil teri mahkai hui si lag rahi hai

    tasawwur mein na jaane aa gaya hai kis ka chehra

    tabiat aaj lalchai hui si lag rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now