koi bhi dekhne ko na nikla makan se
koī bhī dekhne ko na niklā makān se
utrā thā ik farishta abhī āsmān se
paḌte hī tesha Tuut girī barq-e-tīrgī
maiñ bach gayā pa haath na nikle chaTān se
ho ḳhaak muntahā-e-ma'ānī kī justujū
lafzoñ kā zā.iqa nahīñ jaatā zabān se
ab is safar kī us ko hī manzil samajh lo 'zeb'
miltī hai ye zamīn jahāñ āsmān se
koi bhi dekhne ko na nikla makan se
utra tha ek farishta abhi aasman se
paDte hi tesha Tut giri barq-e-tirgi
main bach gaya pa hath na nikle chaTan se
ho KHak muntaha-e-ma'ani ki justuju
lafzon ka zaiqa nahin jata zaban se
ab is safar ki us ko hi manzil samajh lo 'zeb'
milti hai ye zamin jahan aasman se
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 84)
- Author : Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.