Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga

Akhtar Azad

koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga

Akhtar Azad

MORE BYAkhtar Azad

    koī chaudhvīñ-rāt chāñd ban kar tumhāre tasavvur meñ aayā to hogā

    kisī se to hogī tum ne mohabbat kisī ko gale se lagāyā to hogā

    laboñ se mohabbat jaadū jagā ke bharī bazm meñ sab se nazreñ bachā ke

    nigāhoñ ke raste se dil meñ samā ke kisī ne tumheñ bhī churāyā to hogā

    tumhāre ḳhayāloñ añgnā.iyoñ meñ mirī yaad ke phuul mahke to hoñge

    kabhī apnī āñkhoñ ke kājal se tum ne mirā naam likh kar miTāyā to hogā

    kabhī aa.ine se nigāheñ milā kar jo hogī bharpūr añgḌā.ī ne

    to ghabrā ke ḳhud terī añgḌā.iyoñ ne tire husn ko gudgudāyā to hogā

    nigāhoñ meñ sham-e-tamannā jalā kar takī hoñgī tum ne bhī rāheñ kisī

    kisī ne to va.ada kiyā hogā tum se kisī ne to tum ko rulāyā to hogā

    judā ho gayā hogā jab koī tum se diyā hogā jab tum ko dhokā kisī ne

    hamārī vafā yaad aa.ī to hogī hameñ apne nazdīk paayā to hogā

    koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga

    kisi se to ki hogi tum ne mohabbat kisi ko gale se lagaya to hoga

    labon se mohabbat ka jadu jaga ke bhari bazm mein sab se nazren bacha ke

    nigahon ke raste se dil mein sama ke kisi ne tumhein bhi churaya to hoga

    tumhaare KHayalon ki angnaiyon mein meri yaad ke phul mahke to honge

    kabhi apni aankhon ke kajal se tum ne mera nam likh kar miTaya to hoga

    kabhi aaine se nigahen mila kar jo li hogi bharpur angDai tu ne

    to ghabra ke KHud teri angDaiyon ne tere husn ko gudgudaya to hoga

    nigahon mein sham-e-tamanna jala kar taki hongi tum ne bhi rahen kisi ki

    kisi ne to wada kiya hoga tum se kisi ne to tum ko rulaya to hoga

    juda ho gaya hoga jab koi tum se diya hoga jab tum ko dhoka kisi ne

    hamari wafa yaad aai to hogi hamein apne nazdik paya to hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now