Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi fariyaad mujhe toD ke san se nikli

Aziz Nabeel

koi fariyaad mujhe toD ke san se nikli

Aziz Nabeel

MORE BYAziz Nabeel

    koī fariyād mujhe toḌ ke san se niklī

    yuuñ lagā jaise mirī ruuh badan se niklī

    ādatan maiñ kisī ehsās ke pīchhe lapkā

    daf.atan ek ġhazal dasht-e-suḳhan se niklī

    rang kis thā jo dastak se numūdār huā

    kis ḳhushbū thī jo kamre ghuTan se niklī

    kis chehra thā jo sadiyoñ ke bhañvar se ubhrā

    kaisī vahshat thī jo barsoñ thakan se niklī

    ek saa.e ke ta.āqub meñ koī parchhā.īñ

    pyaas oḌhe hue sahrā-e-badan se niklī

    kuchh to aisā thā ki buniyād se hijrat kar

    ḳhaak yūñhī to nahīñ apne vatan se niklī

    raakh jamne lagī jab raat āñkhoñ meñ 'nabīl'

    niiñd āhista se bistar shikan se niklī

    koi fariyaad mujhe toD ke san se nikli

    yun laga jaise meri ruh badan se nikli

    aadatan main kisi ehsas ke pichhe lapka

    dafatan ek ghazal dasht-e-suKHan se nikli

    rang kis ka tha jo dastak se numudar hua

    kis ki KHushbu thi jo kamre ki ghuTan se nikli

    kis ka chehra tha jo sadiyon ke bhanwar se ubhra

    kaisi wahshat thi jo barson ki thakan se nikli

    ek sae ke taaqub mein koi parchhain

    pyas oDhe hue sahra-e-badan se nikli

    kuchh to aisa tha ki buniyaad se hijrat kar li

    KHak yunhi to nahin apne watan se nikli

    rakh jamne lagi jab raat ki aankhon mein 'nabil'

    nind aahista se bistar ki shikan se nikli

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now